dil ko ab hijr ke lamhaat mein dar lagta hai | दिल को अब हिज्र के लम्हात में डर लगता है

  - Ashu Mishra

dil ko ab hijr ke lamhaat mein dar lagta hai
ghar akela ho to phir raat mein dar lagta hai

ek tasveer se rehta hoon mukhaatab ghanton
jab bhi tanhaai ke haalaat mein dar lagta hai

meri aankhon se mere jhooth ayaan hote hain
is liye tujh se mulaqaat mein dar lagta hai

lamha-e-qurb mein lagta hai bichhad jaayenge
haath jab bhi ho tire haath mein dar lagta hai

aaj-kal main unhen jaldi hi badal deta hoon
aaj-kal dil ke makaanaat mein dar lagta hai

jism ki aag ko baarish se hawa milti hai
saath mein tu ho to barsaat mein dar lagta hai

दिल को अब हिज्र के लम्हात में डर लगता है
घर अकेला हो तो फिर रात में डर लगता है

एक तस्वीर से रहता हूँ मुख़ातब घंटों
जब भी तन्हाई के हालात में डर लगता है

मेरी आँखों से मिरे झूट अयाँ होते हैं
इस लिए तुझ से मुलाक़ात में डर लगता है

लम्हा-ए-क़ुर्ब में लगता है बिछड़ जाएँगे
हाथ जब भी हो तिरे हाथ में डर लगता है

आज-कल मैं उन्हें जल्दी ही बदल देता हूँ
आज-कल दिल के मकानात में डर लगता है

जिस्म की आग को बारिश से हवा मिलती है
साथ में तू हो तो बरसात में डर लगता है

  - Ashu Mishra

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ashu Mishra

As you were reading Shayari by Ashu Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ashu Mishra

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari