ik gumaan ye hum-sukhan yazdaan mein hai | इक गुमाँ ये हम-सुख़न यज़दान में है

  - Aves Sayyad

ik gumaan ye hum-sukhan yazdaan mein hai
ba-sitam kashti meri toofaan mein hai

raqs karta ye mahakta tha umar bhar
ab dhuaan be-jaan sa loban mein hai

sun ke rishte-daaron se ulfat ke taane
kais tanhaa ret ke ghaltaan mein hai

baith kar dekhe zamaane ke tamaashe
dil hamaara ab kisi zindaan mein hai

ye tamasha bhi yaqeenan ham karenge
shor kar ke ham kahein chattan mein hai

kat rahe aaraam se hain hijr ke din
ik ghadi ab bhi mere samaan mein hai

raks karta ek insaan se mila hoon
jo yahan se door ik maidaan mein hai

kya kahein kyun hain gulaabi meri aankhen
jee sadak jaipur ki hi ausaan mein hai

is tabaahi ka sabab vo pooch baithe
ab teri sab baat sayyad dhyaan mein hain

इक गुमाँ ये हम-सुख़न यज़दान में है
बा-सितम कश्ती मेरी तूफ़ान में है

रक़्स करता ये महकता था उमर भर
अब धुआँ बे-जान सा लोबान में है

सुन के रिश्ते-दारों से उल्फ़त के ताने
कैस तन्हा रेत के ग़लतान में है

बैठ कर देखे ज़माने के तमाशे
दिल हमारा अब किसी ज़िंदान में है

ये तमाशा भी यक़ीनन हम करेंगे
शोर कर के हम कहें चट्टान में है

कट रहे आराम से हैं हिज्र के दिन
इक घड़ी अब भी मिरे सामान में है

रक्स करता एक इंसाँ से मिला हूँ
जो यहाँ से दूर इक मैदान में है

क्या कहें क्यों हैं गुलाबी मेरी आँखें
जी सड़क जयपुर कि ही औसान में है

इस तबाही का सबब वो पूछ बैठे
अब तेरी सब बात सय्यद ध्यान में हैं

  - Aves Sayyad

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aves Sayyad

As you were reading Shayari by Aves Sayyad

Similar Writers

our suggestion based on Aves Sayyad

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari