aashufta vahshaton ko muqaddar bana diya
duniya ki thokron ne subuk-sar bana diya
laayak to kho gaye hain kataaron ki bheed mein
mujhko sifaarishon ne sikandar bana diya
ham dono hijr kaatne aaye hain ek saath
dono ko tere ishq ne be-ghar bana diya
cheekh'on se koi kaam jo laaya na ja saka
khaamoshiyaan samet ke lashkar bana diya
aalam bhi dost aag ki gardish mein qaid hai
so dushmanon ko raaz ka mahvar bana diya
paikar mein ik dhadakta hua dil tha par mujhe
daftar ki khwaahishaat ne patthar bana diya
sayyad mere naseeb mein kuchh bhi nahin raha
ik jism baksha usko bhi be-sar bana diya
आशुफ़्ता वहशतों को मुकद्दर बना दिया
दुनिया की ठोकरों ने सुबुक-सर बना दिया
लायक तो खो गए हैं कतारों की भीड़ में
मुझको सिफ़ारिशों ने सिकन्दर बना दिया
हम दोनों हिज्र काटने आए हैं एक साथ
दोनों को तेरे इश्क़ ने बे-घर बना दिया
चीख़ों से कोई काम जो लाया न जा सका
ख़ामोशियाँ समेट के लश्कर बना दिया
आलम भी दोस्त आग की गर्दिश में क़ैद है
सो दुश्मनों को राज़ का महवर बना दिया
पैकर में इक धड़कता हुआ दिल था पर मुझे
दफ़्तर की ख़्वाहिशात ने पत्थर बना दिया
'सय्यद' मेरे नसीब में कुछ भी नहीं रहा
इक जिस्म बक्शा उसको भी बे-सर बना दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading One sided love Shayari Shayari