kuchh paudhe ziyaada paani mein kuchh kam mein mar jaate hain
aur jo bach jaayen pattjhar ke mausam mein mar jaate hain
duniya ke aage ham zinda hote hain bas baahar se
lekin apne andar akshar ham ham mein mar jaate hain
ham to khud ko kho ke bhi zinda hain jassar aaj talak
warna log kisi ko khone ke gham mein mar jaate hain
कुछ पौधे ज़्यादा पानी में कुछ कम में मर जाते हैं
और जो बच जाएँ पत्तझर के मौसम में मर जाते हैं
दुनिया के आगे हम ज़िन्दा होते हैं बस बाहर से
लेकिन अपने अंदर अक्सर हम हम में मर जाते हैं
हम तो ख़ुद को खो के भी ज़िन्दा हैं "जस्सर" आज तलक
वर्ना लोग किसी को खोने के ग़म में मर जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Avtar Singh Jasser
our suggestion based on Avtar Singh Jasser
As you were reading Udas Shayari Shayari