ikhtilaafaat me beemaar nazar aate hain
mujhko ye saare hi bezaar nazar aate hain
jitne jaahil mile is shehar mein hamko ab tak
saare haakim ke tarafdhaar nazar aate hain
saare rangon ke gulon se hai chaman ki zeenat
ye chaman ho abhi gulzaar nazar aate hain
aansuo ki meri aankhon mein kuchh auqaat nahin
garche aate hain to bekar nazar aate hain
hukm-e-zardaar ye hai unko nazarband karo
amn ke jo bhi tarafdaar nazar aate hain
ab jo likh di hai haqeeqat to ham azhar sabko
hain to shayar par adakaar nazar aate hain
इख़्तिलाफ़ात मे बीमार नज़र आते हैं
मुझको ये सारे ही बेज़ार नज़र आते हैं
जितने जाहिल मिले इस शहर में हमको अब तक
सारे हाकिम के तरफ़दार नज़र आते हैं
सारे रंगों के गुलों से है चमन की ज़ीनत
ये चमन हो अभी गुलज़ार नज़र आते हैं
आँसुओ की मेरी आंखों में कुछ औक़ात नहीं
गरचे आते हैं तो बेकार नज़र आते हैं
हुक्म-ए-ज़रदार ये है उनको नज़रबंद करो
अम्न के जो भी तरफदार नज़र आते हैं
अब जो लिख दी है हक़ीक़त तो हम 'अज़हर' सबको
हैं तो शायर पर अदाकार नजर आते हैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Azhar Sajjad
As you were reading Nazar Shayari Shayari