soz-e-junoon ne waqt se darne nahin diya
aasaan raaston se guzarne nahin diya
saahil pe ja utarna to lamhon ki baat thi
ek be-dili thi jis ne ubharne nahin diya
ghera kuchh is tarah se gham-e-rozgaar ne
khud apne aap mein bhi utarne nahin diya
unchi haveliyon ne bhi kya zulm dhaaye hain
suraj bhi aangaanon mein utarne nahin diya
ek soz-e-andaroon ne har ik mod par jameel
sacchaaiyon se ham ko mukarne nahin diya
सोज़-ए-जुनूँ ने वक़्त से डरने नहीं दिया
आसान रास्तों से गुज़रने नहीं दिया
साहिल पे जा उतरना तो लम्हों की बात थी
एक बे-दिली थी जिस ने उभरने नहीं दिया
घेरा कुछ इस तरह से ग़म-ए-रोज़गार ने
ख़ुद अपने आप में भी उतरने नहीं दिया
ऊँची हवेलियों ने भी क्या ज़ुल्म ढाए हैं
सूरज भी आँगनों में उतरने नहीं दिया
एक सोज़-ए-अंदरूँ ने हर इक मोड़ पर 'जमील'
सच्चाइयों से हम को मुकरने नहीं दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badr Jameel
our suggestion based on Badr Jameel
As you were reading Inquilab Shayari Shayari