purkhon ki boo baas liye firta hoon | पुरखों की बू बास लिए फिरता हूँ

  - Badr Jameel

purkhon ki boo baas liye firta hoon
mutthi bhar ehsaas liye firta hoon

chaaron or samundar aur main pal pal
ek anjaani pyaas liye firta hoon

raam ko to ban-baas liye firta tha
main khud mein ban-baas liye firta hoon

mehfil mehfil khema-zan maayusi
manzil manzil aas liye firta hoon

har mausam ka karb chhupa hai mujh mein
main har rut ki pyaas liye firta hoon

पुरखों की बू बास लिए फिरता हूँ
मुट्ठी भर एहसास लिए फिरता हूँ

चारों ओर समुंदर और मैं पल पल
एक अनजानी प्यास लिए फिरता हूँ

राम को तो बन-बास लिए फिरता था
मैं ख़ुद में बन-बास लिए फिरता हूँ

महफ़िल महफ़िल ख़ेमा-ज़न मायूसी
मंज़िल मंज़िल आस लिए फिरता हूँ

हर मौसम का कर्ब छुपा है मुझ में
मैं हर रुत की प्यास लिए फिरता हूँ

  - Badr Jameel

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Badr Jameel

As you were reading Shayari by Badr Jameel

Similar Writers

our suggestion based on Badr Jameel

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari