vo bekli hai koi raasta sujhaai na de | वो बेकली है कोई रास्ता सुझाई न दे

  - Badr Jameel

vo bekli hai koi raasta sujhaai na de
vo shor hai ki khud apni sada sunaai na de

main kya karunga bhala ja ke us bulandi par
jahaan se mera hi saaya mujhe dikhaai na de

jo mujh ko dard ke andhe kuein mein fenk aaye
mere vujood ko vo karb-aashnaai na de

na jaane kaun hai mujh mein jo har ghadi mujh ko
koi sujhaao sa deta rahe dikhaai na de

jameel waqt se aage nikal gaye ham log
zamaana ab hamein ilzaam-e-na-rasaai na de

वो बेकली है कोई रास्ता सुझाई न दे
वो शोर है कि ख़ुद अपनी सदा सुनाई न दे

मैं क्या करूँगा भला जा के उस बुलंदी पर
जहाँ से मेरा ही साया मुझे दिखाई न दे

जो मुझ को दर्द के अंधे कुएँ में फेंक आए
मिरे वजूद को वो कर्ब-आश्नाई न दे

न जाने कौन है मुझ में जो हर घड़ी मुझ को
कोई सुझाओ सा देता रहे दिखाई न दे

'जमील' वक़्त से आगे निकल गए हम लोग
ज़माना अब हमें इल्ज़ाम-ए-ना-रसाई न दे

  - Badr Jameel

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Jameel

As you were reading Shayari by Badr Jameel

Similar Writers

our suggestion based on Badr Jameel

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari