pehle to kabhi waqt ye ham par nahin aaya | पहले तो कभी वक़्त ये हम पर नहीं आया

  - Badr Jameel

pehle to kabhi waqt ye ham par nahin aaya
ham chalte rahe chalte rahe ghar nahin aaya

suraj ki hai be-khabri ki mausam ki sharaarat
kyun saaya mere qad ke barabar nahin aaya

kya log the basti mein ki jaltee rahi basti
aur ghar se nikal kar koi baahar nahin aaya

kyun valvale mahdood hue lafz-o-bayaan tak
kyun daar talak koi qad-aavar nahin aaya

is baar bhi kya yoonhi guzar jaayega saawan
is baar bhi to ped pe patthar nahin aaya

पहले तो कभी वक़्त ये हम पर नहीं आया
हम चलते रहे चलते रहे घर नहीं आया

सूरज की है बे-ख़बरी कि मौसम की शरारत
क्यों साया मिरे क़द के बराबर नहीं आया

क्या लोग थे बस्ती में कि जलती रही बस्ती
और घर से निकल कर कोई बाहर नहीं आया

क्यों वलवले महदूद हुए लफ़्ज़-ओ-बयाँ तक
क्यों दार तलक कोई क़द-आवर नहीं आया

इस बार भी क्या यूँही गुज़र जाएगा सावन
इस बार भी तो पेड़ पे पत्थर नहीं आया

  - Badr Jameel

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Jameel

As you were reading Shayari by Badr Jameel

Similar Writers

our suggestion based on Badr Jameel

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari