khush-qaaamati ke zo'm mein danaai jaayegi
suraj na dekh aankh ki beenaai jaayegi
yaarab koi farishta jise dost kah sakoon
insaan ki talash mein beenaai jaayegi
do chaar jhooth bol ke aayi bala ko taal
sach bolne ke jurm mein goyaai jaayegi
nasli raqabaton mein gaye apne baam-o-dar
ab aapsi nifaq mein anganaai jaayegi
zakhamon se hai jameel mazaq-e-sukhan mein jaan
ye bhar gaye to phir sukhan-aaraai jaayegi
ख़ुश-क़ामती के ज़ो'म में दानाई जाएगी
सूरज न देख आँख की बीनाई जाएगी
यारब कोई फ़रिश्ता जिसे दोस्त कह सकूँ
इंसान की तलाश में बीनाई जाएगी
दो चार झूट बोल के आई बला को टाल
सच बोलने के जुर्म में गोयाई जाएगी
नस्ली रक़ाबतों में गए अपने बाम-ओ-दर
अब आपसी निफ़ाक़ में अँगनाई जाएगी
ज़ख़्मों से है 'जमील' मज़ाक़-ए-सुख़न में जाँ
ये भर गए तो फिर सुख़न-आराई जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badr Jameel
our suggestion based on Badr Jameel
As you were reading Aankhein Shayari Shayari