vo jab dega jo kuchh dega dega apne waalon ko
vaise bhi kuchh milta kab hai dhoop mein tapne waalon ko
deen dharm mahfooz hain lekin tasveeron juzdaanon mein
waqt pade to le aate hain maala japne waalon ko
khwaabon ki baarish to saare zakham hare kar deti hai
neend kahaan se aayegi phir bheege sapne waalon ko
akhbaaron ki surkhi banna sab ke bas ki baat nahin
ooncha mol chukaana padta hai roz ke chhapne waalon ko
jaane kaise aise vaise aage badhte jaate hain
paas se ja kar kis ne dekha badr panpane waalon ko
वो जब देगा जो कुछ देगा देगा अपने वालों को
वैसे भी कुछ मिलता कब है धूप में तपने वालों को
दीन धर्म महफ़ूज़ हैं लेकिन तस्वीरों जुज़दानों में
वक़्त पड़े तो ले आते हैं माला जपने वालों को
ख़्वाबों की बारिश तो सारे ज़ख़्म हरे कर देती है
नींद कहाँ से आएगी फिर भीगे सपने वालों को
अख़बारों की सुर्ख़ी बनना सब के बस की बात नहीं
ऊँचा मोल चुकाना पड़ता है रोज़ के छपने वालों को
जाने कैसे ऐसे वैसे आगे बढ़ते जाते हैं
पास से जा कर किस ने देखा 'बद्र' पनपने वालों को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badr Wasti
our suggestion based on Badr Wasti
As you were reading Baaten Shayari Shayari