zehan aur dil mein jo rahti hai chubhan khul jaaye | ज़ेहन और दिल में जो रहती है चुभन खुल जाए

  - Badr Wasti

zehan aur dil mein jo rahti hai chubhan khul jaaye
aaye kaaghaz pe to salma-e-sukhan khul jaaye

qatra-e-deeda-e-namnaak masihaai kare
fikr ke band dareechon ki shikan khul jaaye

main use roz manaata hoon sehar hone tak
mere allah kisi shab to ye dulhan khul jaaye

ek khushboo si hai jo rooh ki gehraai mein
lafz mil jaayen to maani ka chaman khul jaaye

is tarah jaage kisi roz ghazal ka jaadu
jaise masti mein piya se koi jogan khul jaaye

neem-shab izz-o-samaajat se karoon dast daraaz
lafz dhone ke liye aankhon mein saawan khul jaaye

sar-kashi aur tajaavuz se bachaana yaarab
mere ehsaas mein gar yaas ka fan khul jaaye

ज़ेहन और दिल में जो रहती है चुभन खुल जाए
आए काग़ज़ पे तो सलमा-ए-सुख़न खुल जाए

क़तरा-ए-दीदा-ए-नमनाक मसीहाई करे
फ़िक्र के बंद दरीचों की शिकन खुल जाए

मैं उसे रोज़ मनाता हूँ सहर होने तक
मेरे अल्लाह किसी शब तो ये दुल्हन खुल जाए

एक ख़ुश्बू सी है जो रूह की गहराई में
लफ़्ज़ मिल जाएँ तो मा'नी का चमन खुल जाए

इस तरह जागे किसी रोज़ ग़ज़ल का जादू
जैसे मस्ती में पिया से कोई जोगन खुल जाए

नीम-शब इज्ज़-ओ-समाजत से करूँ दस्त दराज़
लफ़्ज़ धोने के लिए आँखों में सावन खुल जाए

सर-कशी और तजावुज़ से बचाना यारब
मेरे एहसास में गर यास का फन खुल जाए

  - Badr Wasti

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Wasti

As you were reading Shayari by Badr Wasti

Similar Writers

our suggestion based on Badr Wasti

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari