charaagon mein andhera hai andhere mein ujaale hain | चराग़ों में अँधेरा है अँधेरे में उजाले हैं

  - Badr Wasti

charaagon mein andhera hai andhere mein ujaale hain
hamaare shehar mein kaali hawa ne par nikale hain

hamein shab kaatne ka fan viraasat mein mila ham ne
kabhi patthar pakaaye hain kabhi sapne ubaale hain

dilon mein khauf hai us ka nazar hai us ki rahmat par
gunaahgaaron mein shaamil hain magar allah waale hain

lade the saath mil kar ham charaagon ke liye lekin
hamaare ghar andhere hain tumhaare ghar ujaale hain

tumhaari yaad se achha nahin hota koi aalam
mayassar jin ko ho jaaye badi taqdeer waale hain

mohabbat aakhiri hal hai hamaare sab masaail ka
magar ham ne to nafrat ke sampole dil mein pale hain

bhadakti aag to do chaar din mein bujh gai thi badr
abhi tak shehar ke manzar na jaane kyun dhuanle hain

चराग़ों में अँधेरा है अँधेरे में उजाले हैं
हमारे शहर में काली हवा ने पर निकाले हैं

हमें शब काटने का फ़न विरासत में मिला हम ने
कभी पत्थर पकाए हैं कभी सपने उबाले हैं

दिलों में ख़ौफ़ है उस का नज़र है उस की रहमत पर
गुनाहगारों में शामिल हैं मगर अल्लाह वाले हैं

लड़े थे साथ मिल कर हम चराग़ों के लिए लेकिन
हमारे घर अँधेरे हैं तुम्हारे घर उजाले हैं

तुम्हारी याद से अच्छा नहीं होता कोई आलम
मयस्सर जिन को हो जाए बड़ी तक़दीर वाले हैं

मोहब्बत आख़िरी हल है हमारे सब मसाइल का
मगर हम ने तो नफ़रत के संपोले दिल में पाले हैं

भड़कती आग तो दो चार दिन में बुझ गई थी 'बद्र'
अभी तक शहर के मंज़र न जाने क्यूँ धुआंले हैं

  - Badr Wasti

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Wasti

As you were reading Shayari by Badr Wasti

Similar Writers

our suggestion based on Badr Wasti

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari