iqaar kisi din hai to inkaar kisi din | इक़रार किसी दिन है तो इंकार किसी दिन

  - Badr Wasti

iqaar kisi din hai to inkaar kisi din
ho jaayegi ab aap se takraar kisi din

chaaha kabhi socha kabhi tasveer banaai
chhodaa na tiri yaad ne bekar kisi din

palkon pe sitaare liye raahon mein khade hain
furqat ho to aa jaaie sarkaar kisi din

duniya mein sada chalti hai chaahat ki hukoomat
aa jaao manaa lenge ham itwaar. kisi din

aaya hai akela tujhe jaana hai akela
bas dekhte rah jaayenge sab yaar kisi din

daulat ke ye ambaar tira saath na denge
gir jaayegi naadaan ye deewaar kisi din

achhi nahin lagti hamein aadat ye tiri badr
har baar kabhi aur to har baar kisi din

इक़रार किसी दिन है तो इंकार किसी दिन
हो जाएगी अब आप से तकरार किसी दिन

चाहा कभी सोचा कभी तस्वीर बनाई
छोड़ा न तिरी याद ने बेकार किसी दिन

पलकों पे सितारे लिए राहों में खड़े हैं
फ़ुर्सत हो तो आ जाइए सरकार किसी दिन

दुनिया में सदा चलती है चाहत की हुकूमत
आ जाओ मना लेंगे हम इतवार किसी दिन

आया है अकेला तुझे जाना है अकेला
बस देखते रह जाएँगे सब यार किसी दिन

दौलत के ये अम्बार तिरा साथ न देंगे
गिर जाएगी नादान ये दीवार किसी दिन

अच्छी नहीं लगती हमें आदत ये तिरी 'बद्र'
हर बार कभी और तो हर बार किसी दिन

  - Badr Wasti

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Wasti

As you were reading Shayari by Badr Wasti

Similar Writers

our suggestion based on Badr Wasti

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari