dhaani surmai sabz gulaabi jaise maa ka aanchal shaam | धानी सुरमई सब्ज़ गुलाबी जैसे माँ का आँचल शाम

  - Badr Wasti

dhaani surmai sabz gulaabi jaise maa ka aanchal shaam
kaise kaise rang dikhaaye roz labaalab chaagal shaam

charvahe ko ghar pahunchaaye pahre-daar se ghar chhurvaaye
aate jaate chhedti jaaye darwaaze ki saankal shaam

suraj ke paapon ki gathri sar par laade thaki thaki si
khaamoshi se munh latkaaye chal deti hai paidal shaam

behis duniya-daaron ko ho duniya ki har cheez mubarak
gham-zaadon ka sarmaaya hain aansu aahen bottle shaam

suraj ke jaate hi apne rang pe aa jaati hai duniya
jaane-bujhe chup rahti hai shab ke mod pe komal shaam

saanson ki pur-shor dagar pe raqs karega sannaata
chupke se jis roz achaanak chhanka degi paayal shaam

badr tumhein kya haal sunaaien itna hi bas kaafi hai
tanhaai mein kat jaati hai jaise-taise makhmal shaam

धानी सुरमई सब्ज़ गुलाबी जैसे माँ का आँचल शाम
कैसे कैसे रंग दिखाए रोज़ लबालब छागल शाम

चरवाहे को घर पहुँचाए पहरे-दार से घर छुड़वाए
आते जाते छेड़ती जाए दरवाज़े की साँकल शाम

सूरज के पापों की गठरी सर पर लादे थकी थकी सी
ख़ामोशी से मुँह लटकाए चल देती है पैदल शाम

बेहिस दुनिया-दारों को हो दुनिया की हर चीज़ मुबारक
ग़म-ज़ादों का सरमाया हैं आँसू आहें बोतल शाम

सूरज के जाते ही अपने रंग पे आ जाती है दुनिया
जाने-बूझे चुप रहती है शब के मोड़ पे कोमल शाम

साँसों की पुर-शोर डगर पे रक़्स करेगा सन्नाटा
चुपके से जिस रोज़ अचानक छनका देगी पायल शाम

'बद्र' तुम्हें क्या हाल सुनाईं इतना ही बस काफ़ी है
तन्हाई में कट जाती है जैसे-तैसे मख़मल शाम

  - Badr Wasti

Raqs Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Wasti

As you were reading Shayari by Badr Wasti

Similar Writers

our suggestion based on Badr Wasti

Similar Moods

As you were reading Raqs Shayari Shayari