fal darakhton se gire the aandhiyon mein thaal bhar
mere hisse mein magar aaye nahin roomaal bhar
pehle saare panchiyon ko par milen parwaaz ke
phir shikaari se kahe koi ki apna jaal bhar
mausamon ki sakhtiyan to baadlon si ud gaeein
aaj bhi mahfooz kab hai dil ka sheesha baal-bhar
dhund hi chhaai rahi aankhon mein tum se kya kahein
ab to yaaro ek sa rehta hai mausam saal-bhar
dhoop ki man-maaniyon par muskuraate the kabhi
in tanaawar pedon par patte bache hain daal-bhar
ek shay ka naam jo batlaaye us ka naam ho
apni galiyon mein nahin hai mumbai si chaal bhar
aur ham se kya taqaza hai tira asr-e-rawan
jaan-o-tan ka naam hai bas haddiyon par khaal-bhar
फल दरख़्तों से गिरे थे आँधियों में थाल भर
मेरे हिस्से में मगर आए नहीं रूमाल भर
पहले सारे पंछियों को पर मिलें पर्वाज़ के
फिर शिकारी से कहे कोई कि अपना जाल भर
मौसमों की सख़्तियाँ तो बादलों सी उड़ गईं
आज भी महफ़ूज़ कब है दिल का शीशा बाल-भर
धुँद ही छाई रही आँखों में तुम से क्या कहें
अब तो यारो एक सा रहता है मौसम साल-भर
धूप की मन-मानियों पर मुस्कुराते थे कभी
इन तनावर पेड़ों पर पत्ते बचे हैं डाल-भर
एक शय का नाम जो बतलाए उस का नाम हो
अपनी गलियों में नहीं है मुंबई सी चाल भर
और हम से क्या तक़ाज़ा है तिरा अस्र-ए-रवाँ
जान-आे-तन का नाम है बस हड्डियों पर खाल-भर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badr Wasti
our suggestion based on Badr Wasti
As you were reading Ujaala Shayari Shayari