kyunkar na khaaksaar rahein ahl-e-keen se door
dekho zameen falak se falak hai zameen se door
parwaana wasl-e-sham'a pe deta hai apni jaan
kyunkar rahe dil us ke rukh-e-aatishi se door
majmoo-e-wasl-wa-hijr jo naame mein hai raqam
hai harf bhi kahi se mile aur kahi se door
go teer-e-be-gumaan hai mere paas par abhi
jaaye nikal ke seena-e-charkh-e-bareen se door
vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas
lekin hamesha bhaagte ho tum humeen se door
hairaan hoon ki us ke muqaabil ho aaina
jo pur-ghuroor khinchta hai maah-e-mubeen se door
yaa tak adoo ka paas hai un ko ki bazm mein
vo baithe bhi hain to mere hum-nasheen se door
manzoor ho jo deed tujhe dil ki aankh se
pahunchen tiri nazar nigah-e-door-been se door
duniya-e-doo ki de na mohabbat khuda zafar
insaan ko fenk de hai ye eimaan o deen se door
क्यूँकर न ख़ाकसार रहें अहल-ए-कीं से दूर
देखो ज़मीं फ़लक से फ़लक है ज़मीं से दूर
परवाना वस्ल-ए-शम्अ पे देता है अपनी जाँ
क्यूँकर रहे दिल उस के रुख़-ए-आतिशीं से दूर
मज़मून-ए-वस्ल-व-हिज्र जो नामे में है रक़म
है हर्फ़ भी कहीं से मिले और कहीं से दूर
गो तीर-ए-बे-गुमाँ है मिरे पास पर अभी
जाए निकल के सीना-ए-चर्ख़-ए-बरीं से दूर
वो कौन है कि जाते नहीं आप जिस के पास
लेकिन हमेशा भागते हो तुम हमीं से दूर
हैरान हूँ कि उस के मुक़ाबिल हो आईना
जो पुर-ग़ुरूर खिंचता है माह-ए-मुबीं से दूर
याँ तक अदू का पास है उन को कि बज़्म में
वो बैठते भी हैं तो मिरे हम-नशीं से दूर
मंज़ूर हो जो दीद तुझे दिल की आँख से
पहुँचे तिरी नज़र निगह-ए-दूर-बीं से दूर
दुनिया-ए-दूँ की दे न मोहब्बत ख़ुदा 'ज़फ़र'
इंसाँ को फेंक दे है ये ईमान ओ दीं से दूर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar
our suggestion based on Bahadur Shah Zafar
As you were reading Nazar Shayari Shayari