ham-kalaami mein dar-o-deewar se
kitne jazbe rah gaye izhaar se
dhoop badhte hi juda ho jaayega
saaya-e-deewar bhi deewaar se
hijr ka lamha mukammal ho gaya
raushni jab kat gai minaar se
toot kar bikhre khud apne sog mein
dil laga kar dard ke rukhsaar se
neem-wa galiyaan chura kar laai hain
kaisa sapna deeda-e-bedaar se
kitne hi mayus lamhon ke bhanwar
ham ne naape zehan ke parkaar se
umr bhar taarik uljhte hi rahe
jism ki girti hui deewaar se
हम-कलामी में दर-ओ-दीवार से
कितने जज़्बे रह गए इज़हार से
धूप बढ़ते ही जुदा हो जाएगा
साया-ए-दीवार भी दीवार से
हिज्र का लम्हा मुकम्मल हो गया
रौशनी जब कट गई मीनार से
टूट कर बिखरे ख़ुद अपने सोग में
दिल लगा कर दर्द के रुख़्सार से
नीम-वा गलियाँ चुरा कर लाई हैं
कैसा सपना दीदा-ए-बेदार से
कितने ही मायूस लम्हों के भँवर
हम ने नापे ज़ेहन के परकार से
उम्र भर 'तारिक़' उलझते ही रहे
जिस्म की गिरती हुई दीवार से
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Bahram Tariq
As you were reading Judai Shayari Shayari