kahaan se manzar samet laaye nazar kahaan se udhaar maange | कहाँ से मंज़र समेट लाए नज़र कहाँ से उधार माँगे

  - Balraj Bakshi

kahaan se manzar samet laaye nazar kahaan se udhaar maange
rivaayaton ko na maut aaye to zindagi intishaar maange

safar ki ye kaisi wusaaten hain ki raasta hai na koi manzil
thakan ka ehsaas bhi na utre qadam qadam rahguzar maange

talash ke baawajood sach hai ki mere hisse mein kuchh na aaya
ki main ne khushiyaan hazaar dhoondiin ki dard main ne hazaar maange

agar vo dena hi chahta hai to manzilon ka suraagh de de
agar use maangna hi thehre to raaston ka ghubaar maange

kabhi achaanak hi gher lete hain raah mein na-guzeer lamhe
koi kahaan tak panaah dhunde koi kahaan tak firaar maange

sazaayein tajweez kar ke rakho ye ek lamha-e-fikriyaa hai
ki koi balraaj apni marzi se jeene ka ikhtiyaar maange

कहाँ से मंज़र समेट लाए नज़र कहाँ से उधार माँगे
रिवायतों को न मौत आए तो ज़िंदगी इंतिशार माँगे

सफ़र की ये कैसी वुसअतें हैं कि रास्ता है न कोई मंज़िल
थकन का एहसास भी न उतरे क़दम क़दम रहगुज़ार माँगे

तलाश के बावजूद सच है कि मेरे हिस्से में कुछ न आया
कि मैं ने ख़ुशियाँ हज़ार ढूँडीं कि दर्द मैं ने हज़ार माँगे

अगर वो देना ही चाहता है तो मंज़िलों का सुराग़ दे दे
अगर उसे माँगना ही ठहरे तो रास्तों का ग़ुबार माँगे

कभी अचानक ही घेर लेते हैं राह में ना-गुज़ीर लम्हे
कोई कहाँ तक पनाह ढूँडे कोई कहाँ तक फ़रार माँगे

सज़ाएँ तज्वीज़ कर के रक्खो ये एक लम्हा-ए-फ़िक्रिया है
कि कोई 'बलराज' अपनी मर्ज़ी से जीने का इख़्तियार माँगे

  - Balraj Bakshi

Jazbaat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balraj Bakshi

As you were reading Shayari by Balraj Bakshi

Similar Writers

our suggestion based on Balraj Bakshi

Similar Moods

As you were reading Jazbaat Shayari Shayari