hazaar kehta raha main ki yaar ek minute
kiya na us ne mera intizaar ek minute
main jaanta hoon ki hai ye khumaar ek minute
idhar bhi aayi thi mauj-e-bahaar ek minute
pata chale ki hamein kaun kaun chhod gaya
zara chatte to ye gard-o-ghubaar ek minute
abad talak hue ham us ke vasvason ke aseer
kiya tha jis pe kabhi e'tibaar ek minute
agarche kuchh nahin auqaat ek hafta ki
jo sochie to hain ye das hazaar ek minute
phir aaj kaam se taakheer ho gai baasir
kisi ne ham se kaha baar baar ek minute
हज़ार कहता रहा मैं कि यार एक मिनट
किया न उस ने मिरा इंतिज़ार एक मिनट
मैं जानता हूँ कि है ये ख़ुमार एक मिनट
इधर भी आई थी मौज-ए-बहार एक मिनट
पता चले कि हमें कौन कौन छोड़ गया
ज़रा छटे तो ये गर्द-ओ-ग़ुबार एक मिनट
अबद तलक हुए हम उस के वसवसों के असीर
किया था जिस पे कभी ए'तिबार एक मिनट
अगरचे कुछ नहीं औक़ात एक हफ़्ते की
जो सोचिए तो हैं ये दस हज़ार एक मिनट
फिर आज काम से ताख़ीर हो गई 'बासिर'
किसी ने हम से कहा बार बार एक मिनट
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Basir Sultan Kazmi
our suggestion based on Basir Sultan Kazmi
As you were reading Tevar Shayari Shayari