saaf kab imtihaan lete hain | साफ़ कब इम्तिहान लेते हैं

  - Dagh Dehlvi

saaf kab imtihaan lete hain
vo to dam de ke jaan lete hain

yun hai manzoor khaana-veeraani
mol mera makaan lete hain

tum taghaaful karo raqeebon se
jaanne waale jaan lete hain

phir na aana agar koi bheje
nama-bar se zabaan lete hain

ab bhi gir pad ke zof se naale
saatwaan aasmaan lete hain

tere khanjar se bhi to ai qaateel
nok ki nau-jawan lete hain

apne bismil ka sar hai zaanoo par
kis mohabbat se jaan lete hain

ye suna hai mere liye talwaar
ik mere mehrbaan lete hain

ye na kah ham se tere munh mein khaak
is mein teri zabaan lete hain

kaun jaata hai us gali mein jise
door se paasbaan lete hain

manzil-e-shauq tay nahin hoti
thekiyaan na-tawaan lete hain

kar guzarte hain ho buri ki bhali
dil mein jo kuchh vo thaan lete hain

vo jhagdate hain jab raqeebon se
beech mein mujh ko saan lete hain

zid har ik baat par nahin achhi
dost ki dost maan lete hain

mustaid ho ke ye kaho to sahi
aaiye imtihaan lete hain

daagh bhi hai ajeeb sehr-bayaan
baat jis ki vo maan lete hain

साफ़ कब इम्तिहान लेते हैं
वो तो दम दे के जान लेते हैं

यूँ है मंज़ूर ख़ाना-वीरानी
मोल मेरा मकान लेते हैं

तुम तग़ाफ़ुल करो रक़ीबों से
जानने वाले जान लेते हैं

फिर न आना अगर कोई भेजे
नामा-बर से ज़बान लेते हैं

अब भी गिर पड़ के ज़ोफ़ से नाले
सातवाँ आसमान लेते हैं

तेरे ख़ंजर से भी तो ऐ क़ातिल
नोक की नौ-जवान लेते हैं

अपने बिस्मिल का सर है ज़ानू पर
किस मोहब्बत से जान लेते हैं

ये सुना है मिरे लिए तलवार
इक मिरे मेहरबान लेते हैं

ये न कह हम से तेरे मुँह में ख़ाक
इस में तेरी ज़बान लेते हैं

कौन जाता है उस गली में जिसे
दूर से पासबान लेते हैं

मंज़िल-ए-शौक़ तय नहीं होती
ठेकियाँ ना-तवान लेते हैं

कर गुज़रते हैं हो बुरी कि भली
दिल में जो कुछ वो ठान लेते हैं

वो झगड़ते हैं जब रक़ीबों से
बीच में मुझ को सान लेते हैं

ज़िद हर इक बात पर नहीं अच्छी
दोस्त की दोस्त मान लेते हैं

मुस्तइद हो के ये कहो तो सही
आइए इम्तिहान लेते हैं

'दाग़' भी है अजीब सेहर-बयाँ
बात जिस की वो मान लेते हैं

  - Dagh Dehlvi

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari