mujrim hoon agar mujh ko saza kyun nahin dete | मुजरिम हूँ अगर मुझ को सज़ा क्यों नहीं देते

  - Danish Ejaz

mujrim hoon agar mujh ko saza kyun nahin dete
apna hoon to phir mujh ko sada kyun nahin dete

kuchh aur nahin shikwa shikaayat hi karo tum
is bujhti mohabbat ko hawa kyun nahin dete

tum laut bhi jaao to asar der talak ho
malte hue ye haath daba kyun nahin dete

phir dekh ke sahab jee usi khaas nazar se
ummeed ke gunchon ko khila kyun nahin dete

ik baat hi kahni hai magar log bahut hain
kuchh waqt mujhe in ke siva kyun nahin dete

मुजरिम हूँ अगर मुझ को सज़ा क्यों नहीं देते
अपना हूँ तो फिर मुझ को सदा क्यों नहीं देते

कुछ और नहीं शिकवा शिकायत ही करो तुम
इस बुझती मोहब्बत को हवा क्यों नहीं देते

तुम लौट भी जाओ तो असर देर तलक हो
मलते हुए ये हाथ दबा क्यों नहीं देते

फिर देख के साहब जी उसी ख़ास नज़र से
उम्मीद के ग़ुंचों को खिला क्यों नहीं देते

इक बात ही कहनी है मगर लोग बहुत हैं
कुछ वक़्त मुझे इन के सिवा क्यों नहीं देते

  - Danish Ejaz

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Danish Ejaz

As you were reading Shayari by Danish Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Danish Ejaz

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari