dil ko jis cheez ki hasrat hai humeen jaante hain
vo koi chaand si soorat hai humeen jaante hain
hamein kis shakhs ki aadat hai tumhi jaante ho
tumhein kis shakhs ki aadat hai humeen jaante hain
tera hansna to qayamat hai hamein hai ma'aloom
tera rona bhi museebat hai humeen jaante hain
yun to da'wa hai mohabbat ka tumhein ham se magar
tumhein jis jis se mohabbat hai humeen jaante hain
yun to aasaan sa rasta hai tumhaare ghar ka
tere milne mein jo mehnat hai humeen jaante hain
gham-e-dauraan se to begaana hue hain daanish
tere gham ki jo inaayat hai humeen jaante hain
दिल को जिस चीज़ की हसरत है हमीं जानते हैं
वो कोई चाँद सी सूरत है हमीं जानते हैं
हमें किस शख़्स की आदत है तुम्ही जानते हो
तुम्हें किस शख़्स की आदत है हमीं जानते हैं
तेरा हँसना तो क़यामत है हमें है मा'लूम
तेरा रोना भी मुसीबत है हमीं जानते हैं
यूँ तो दा'वा है मोहब्बत का तुम्हें हम से मगर
तुम्हें जिस जिस से मोहब्बत है हमीं जानते हैं
यूँ तो आसान सा रस्ता है तुम्हारे घर का
तेरे मिलने में जो मेहनत है हमीं जानते हैं
ग़म-ए-दौराँ से तो बेगाना हुए हैं 'दानिश'
तेरे ग़म की जो इनायत है हमीं जानते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Danish Ejaz
our suggestion based on Danish Ejaz
As you were reading Udas Shayari Shayari