hasi gulon mein sitaaron mein raushni na mili | हँसी गुलों में सितारों में रौशनी न मिली

  - Darshan Singh

hasi gulon mein sitaaron mein raushni na mili
mile na tum to kahi bhi hamein khushi na mili

na chaand mein na shafaq mein na laala-o-gul mein
jo aap mein hai kahi bhi vo dilkashi na mili

nigaah lutf ki hai muntazir meri shab-e-gham
sitaare doob chale aur raushni na mili

humeen ko saunp diye kul jahaan ke ranj-o-alam
kisi mein aur hamaari si dil-dahee na mili

nigaah-e-dost ne bakshi jo dil ko mad-hoshi
sharaab-o-jaam se ham ko vo be-khudi na mili

har ik nashaat mein pinhaan mila nashaat ka gham
jo aish se ho basar aisi zindagi na mili

mere khayal mein hain ye tajalliyaan kis ki
andheri raat mein bhi mujh ko teergi na mili

wahi fazaa wahi gulshan wahi hawa hai magar
mili jo gul ko vo khaaron ko zindagi na mili

gila karenge na ab mere ba'ad ke rahraw
ki un ko raah-e-mohabbat mein raushni na mili

hazaar baar hua khoon-e-aarzoo lekin
kabhi kisi ko meri aankh mein nami na mili

jo chhedti mere betaab dil ke taaron ko
kisi bhi saaz mein darshan vo nagmgi na mili

हँसी गुलों में सितारों में रौशनी न मिली
मिले न तुम तो कहीं भी हमें ख़ुशी न मिली

न चाँद में न शफ़क़ में न लाला-ओ-गुल में
जो आप में है कहीं भी वो दिलकशी न मिली

निगाह लुत्फ़ की है मुंतज़िर मिरी शब-ए-ग़म
सितारे डूब चले और रौशनी न मिली

हमीं को सौंप दिए कुल जहाँ के रंज-ओ-अलम
किसी में और हमारी सी दिल-दही न मिली

निगाह-ए-दोस्त ने बख़्शी जो दिल को मद-होशी
शराब-ओ-जाम से हम को वो बे-ख़ुदी न मिली

हर इक नशात में पिन्हाँ मिला नशात का ग़म
जो ऐश से हो बसर ऐसी ज़िंदगी न मिली

मिरे ख़याल में हैं ये तजल्लियाँ किस की
अँधेरी रात में भी मुझ को तीरगी न मिली

वही फ़ज़ा वही गुलशन वही हवा है मगर
मिली जो गुल को वो ख़ारों को ज़िंदगी न मिली

गिला करेंगे न अब मेरे बा'द के रहरव
कि उन को राह-ए-मोहब्बत में रौशनी न मिली

हज़ार बार हुआ ख़ून-ए-आरज़ू लेकिन
कभी किसी को मिरी आँख में नमी न मिली

जो छेड़ती मिरे बेताब दिल के तारों को
किसी भी साज़ में दर्शन वो नग़्मगी न मिली

  - Darshan Singh

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari