raaz-e-nihaan thi zindagi raaz-e-nihaan hai aaj bhi
wahm-o-gumaan mein thi wahm-o-gumaan hai aaj bhi
kal bhi navaa-e-aagahi qeemat-e-sang-o-khisht thi
naghma-e-amn-o-aashti jins-e-giraan hai aaj bhi
dil se to roz-o-shab hui laakh tarah ki guftugoo
tishna-e-guftugoo magar apni zabaan hai aaj bhi
khaak mein jazb ho gaya tere shaheed ka lahu
matlaa-e-kaayenaat par surkh dhuaan hai aaj bhi
ishq ko neend aa gai waqt pe os pad gai
apne junoon ke dasht mein dhoop jawaan hai aaj bhi
waqt ki dastaras nahin bazm-e-gah-e-khayaal tak
rukh pe ghubaar hi sahi yaad jawaan hai aaj bhi
kal bhi rukh-e-hayaat par rang-e-shaguftagi na tha
subh-e-bahaar-e-zindagi shaam-e-khizaan hai aaj bhi
kal bhi zabaan-o-nutq ko khauf-e-sinaan-o-saif tha
naqd-o-nazar ko dehshat-e-teer-o-kamaan hai aaj bhi
darshan'-e-tishna-kaam par ek nigaah saaqiya
shola-bayaan ye kal bhi tha shola-bayaan hai aaj bhi
राज़-ए-निहाँ थी ज़िंदगी राज़-ए-निहाँ है आज भी
वहम-ओ-गुमाँ में थी वहम-ओ-गुमाँ है आज भी
कल भी नवा-ए-आगही क़ीमत-ए-संग-ओ-ख़िश्त थी
नग़्मा-ए-अम्न-ओ-आश्ती जिंस-ए-गिराँ है आज भी
दिल से तो रोज़-ओ-शब हुई लाख तरह की गुफ़्तुगू
तिश्ना-ए-गुफ़्तुगू मगर अपनी ज़बाँ है आज भी
ख़ाक में जज़्ब हो गया तेरे शहीद का लहू
मतला-ए-काएनात पर सुर्ख़ धुआँ है आज भी
इश्क़ को नींद आ गई वक़्त पे ओस पड़ गई
अपने जुनूँ के दश्त में धूप जवाँ है आज भी
वक़्त की दस्तरस नहीं बज़्म-ए-गह-ए-ख़याल तक
रुख़ पे ग़ुबार ही सही याद जवाँ है आज भी
कल भी रुख़-ए-हयात पर रंग-ए-शगुफ़्तगी न था
सुब्ह-ए-बहार-ए-ज़िंदगी शाम-ए-ख़िज़ाँ है आज भी
कल भी ज़बान-ओ-नुत्क़ को ख़ौफ़-ए-सिनान-ओ-सैफ था
नक़्द-ओ-नज़र को दहशत-ए-तीर-ओ-कमाँ है आज भी
'दर्शन'-ए-तिश्ना-काम पर एक निगाह साक़िया
शो'ला-बयाँ ये कल भी था शो'ला-बयाँ है आज भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Darshan Singh
our suggestion based on Darshan Singh
As you were reading Yaad Shayari Shayari