jazba-e-dil ko amal mein kabhi laao to sahi | जज़्बा-ए-दिल को अमल में कभी लाओ तो सही

  - Darshan Singh

jazba-e-dil ko amal mein kabhi laao to sahi
apni manzil ki taraf paanv badhaao to sahi

zindagi vo jo hareef-e-gham-e-ayyaam rahe
dil shikasta hai to kya saaz uthao to sahi

jaag utthegi ye soi hui duniya lekin
pehle khwaabida tamannaa ko jagao to sahi

phool hi phool hain kahte ho jinhen tum kaante
meri duniya-e-junoon mein kabhi aao to sahi

tumhein aabaad nazar aayegi ujadi duniya
dil ki duniya ko mohabbat se basaao to sahi

zindagi phir se jawaan phir se haseen ho jaaye
un ki aankhon se zara aankh milaao to sahi

karte firte ho andhere ki shikaayat darshan
dil ki duniya mein koi deep jalao to sahi

जज़्बा-ए-दिल को अमल में कभी लाओ तो सही
अपनी मंज़िल की तरफ़ पाँव बढ़ाओ तो सही

ज़िंदगी वो जो हरीफ़-ए-ग़म-ए-अय्याम रहे
दिल शिकस्ता है तो क्या साज़ उठाओ तो सही

जाग उट्ठेगी ये सोई हुई दुनिया लेकिन
पहले ख़्वाबीदा तमन्ना को जगाओ तो सही

फूल ही फूल हैं कहते हो जिन्हें तुम काँटे
मेरी दुनिया-ए-जुनूँ में कभी आओ तो सही

तुम्हें आबाद नज़र आएगी उजड़ी दुनिया
दिल की दुनिया को मोहब्बत से बसाओ तो सही

ज़िंदगी फिर से जवाँ फिर से हसीं हो जाए
उन की आँखों से ज़रा आँख मिलाओ तो सही

करते फिरते हो अँधेरे की शिकायत 'दर्शन'
दिल की दुनिया में कोई दीप जलाओ तो सही

  - Darshan Singh

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari