gulon pe khaak-e-mehan ke siva kuchh aur nahin
chaman mein yaad-e-chaman ke siva kuchh aur nahin
kahaan ki manzil-e-rangeen sehar to hone do
hamaare khwaab thakan ke siva kuchh aur nahin
ye shaam-e-ghurbat-e-dil hai yahan charaagh kahaan
khayaal-e-subh-e-watan ke siva kuchh aur nahin
nigah-e-shauq-e-musalsal usi ko chhede ja
jabeen pe jis ki shikan ke siva kuchh aur nahin
dayaar-e-ishq mein tum kyun khade ho ahl-e-hawas
yahan to daar-o-rasan ke siva kuchh aur nahin
savaad-e-shaam-e-khizaan hai to ho hamein kya gham
nazar mein subh-e-chaman ke siva kuchh aur nahin
kare talash junoon zulmat-e-khird se kaho
junoon kiran hai kiran ke siva kuchh aur nahin
hamaari naghma-saraai ke vaaste darshan
hawaa-e-gang-o-jamun ke siva kuchh aur nahin
गुलों पे ख़ाक-ए-मेहन के सिवा कुछ और नहीं
चमन में याद-ए-चमन के सिवा कुछ और नहीं
कहाँ की मंज़िल-ए-रंगीं सहर तो होने दो
हमारे ख़्वाब थकन के सिवा कुछ और नहीं
ये शाम-ए-ग़ुर्बत-ए-दिल है यहाँ चराग़ कहाँ
ख़याल-ए-सुब्ह-ए-वतन के सिवा कुछ और नहीं
निगाह-ए-शौक़-ए-मुसलसल उसी को छेड़े जा
जबीं पे जिस की शिकन के सिवा कुछ और नहीं
दयार-ए-इश्क़ में तुम क्यूँ खड़े हो अहल-ए-हवस
यहाँ तो दार-ओ-रसन के सिवा कुछ और नहीं
सवाद-ए-शाम-ए-ख़िज़ाँ है तो हो हमें क्या ग़म
नज़र में सुब्ह-ए-चमन के सिवा कुछ और नहीं
करे तलाश जुनूँ ज़ुल्मत-ए-ख़िरद से कहो
जुनूँ किरन है किरन के सिवा कुछ और नहीं
हमारी नग़्मा-सराई के वास्ते 'दर्शन'
हवा-ए-गंग-ओ-जमन के सिवा कुछ और नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Darshan Singh
our suggestion based on Darshan Singh
As you were reading Diwangi Shayari Shayari