gham-e-hayaat pe khandaan hain tere deewane | ग़म-ए-हयात पे ख़ंदाँ हैं तेरे दीवाने

  - Darshan Singh

gham-e-hayaat pe khandaan hain tere deewane
ajeeb saahb-e-irfaan hain tere deewane

har ek zarra-e-sehra hai aaina-khaana
hujoom-e-jalwa se hairaan hain tere deewane deewane

na apne hosh ki parwa na apne dard ka fikr
gham-e-zameen se pareshaan hain tere deewane

kahaan ye hosh ki auron ki zindagi pe hansein
khud apne haal pe khandaan hain tere deewane

hujoom-e-ashk mein chhalaka rahe hain paimaana
hareef-e-gardish-e-dauraan hain tere deewane

bahaar aate hi kya jaane un pe kya guzri
ki khud se dast-o-garebaan hain tere deewane

kabhi to ik nigah-e-jaan-nawaaz ho jaaye
hanooz kushta-e-armaan hain tere deewane

nishaat-o-dard mein dekha hai main ne darshan ko
har ek haal mein shaadan hain tere deewane

ग़म-ए-हयात पे ख़ंदाँ हैं तेरे दीवाने
अजीब साहब-ए-इरफ़ाँ हैं तेरे दीवाने

हर एक ज़र्रा-ए-सहरा है आईना-ख़ाना
हुजूम-ए-जल्वा से हैराँ हैं तेरे दीवाने दीवाने

न अपने होश की पर्वा न अपने दर्द का फ़िक्र
ग़म-ए-ज़मीं से परेशाँ हैं तेरे दीवाने

कहाँ ये होश कि औरों की ज़िंदगी पे हँसें
ख़ुद अपने हाल पे ख़ंदाँ हैं तेरे दीवाने

हुजूम-ए-अश्क में छलका रहे हैं पैमाना
हरीफ़-ए-गर्दिश-ए-दौराँ हैं तेरे दीवाने

बहार आते ही क्या जाने उन पे क्या गुज़री
कि ख़ुद से दस्त-ओ-गरेबाँ हैं तेरे दीवाने

कभी तो इक निगह-ए-जाँ-नवाज़ हो जाए
हनूज़ कुश्ता-ए-अरमाँ हैं तेरे दीवाने

निशात-ओ-दर्द में देखा है मैं ने 'दर्शन' को
हर एक हाल में शादाँ हैं तेरे दीवाने

  - Darshan Singh

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari