ishq shabnam nahin sharaara hai | इश्क़ शबनम नहीं शरारा है

  - Darshan Singh

ishq shabnam nahin sharaara hai
raaz ye mujh pe aashkaara hai

ik karam ki nigaah kar deeje
umr-bhar ka sitam gawara hai

raqs mein hain jo saagar-o-meena
kis ki nazaron ka ye ishaara hai

aisi manzil pe aa gaya hoon dost
tire gham ka faqat sahaara hai

laut aaye hain yaar ke dar se
waqt ne jab hamein pukaara hai

dil na toote to zarra-e-naacheez
keemiya hai jo paara paara hai

jaam-e-rangeen mein un ka aks-e-jamaal
ya shafaq mein koi sitaara hai

naav takra chuki hai toofaan se
apna murshid hi ab sahaara hai

ishq karna hai maat kha jaana
us mein jeeta hua bhi haara hai

apne darshan pe ik nigah-e-karam
ki gham-e-zindagi ka maara hai

इश्क़ शबनम नहीं शरारा है
राज़ ये मुझ पे आश्कारा है

इक करम की निगाह कर दीजे
उम्र-भर का सितम गवारा है

रक़्स में हैं जो साग़र-ओ-मीना
किस की नज़रों का ये इशारा है

ऐसी मंज़िल पे आ गया हूँ दोस्त
तिरे ग़म का फ़क़त सहारा है

लौट आए हैं यार के दर से
वक़्त ने जब हमें पुकारा है

दिल न टूटे तो ज़र्रा-ए-नाचीज़
कीमिया है जो पारा पारा है

जाम-ए-रंगीं में उन का अक्स-ए-जमाल
या शफ़क़ में कोई सितारा है

नाव टकरा चुकी है तूफ़ाँ से
अपना मुर्शिद ही अब सहारा है

इश्क़ करना है मात खा जाना
उस में जीता हुआ भी हारा है

अपने 'दर्शन' पे इक निगाह-ए-करम
कि ग़म-ए-ज़िंदगी का मारा है

  - Darshan Singh

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari