libaas-e-faqr mein ham ko jo khaaksaar mile
unhin ke dar pe salaateen-e-rozgaar mile
vo raaz jis se sulagta raha hai dil kah den
hamaare dil sa agar koi raazdaar mile
sharaab khana-e-chishti mein bhi nazar aaye
hamein jo ulfat-e-nanak ke baada-khwaar mile
gham-e-jahaan-nigari ka safar-e-qayamat tha
har ek zarre ke seene mein kohsaar mile
koi bhi doori-e-manzil nahin agar darshan
jahaan ko mera junoon-e-khird-shikaar mile
लिबास-ए-फ़क़्र में हम को जो ख़ाकसार मिले
उन्हीं के दर पे सलातीन-ए-रोज़गार मिले
वो राज़ जिस से सुलगता रहा है दिल कह दें
हमारे दिल सा अगर कोई राज़दार मिले
शराब ख़ाना-ए-चिश्ती में भी नज़र आए
हमें जो उलफ़्त-ए-नानक के बादा-ख़्वार मिले
ग़म-ए-जहाँ-निगरी का सफ़र-ए-क़यामत था
हर एक ज़र्रे के सीने में कोहसार मिले
कोई भी दूरी-ए-मंज़िल नहीं अगर 'दर्शन'
जहाँ को मेरा जुनून-ए-ख़िरद-शिकार मिले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Darshan Singh
our suggestion based on Darshan Singh
As you were reading Dar Shayari Shayari