raaz ye mujh pe aashkaara hai
ishq shabnam nahin sharaara hai
ik nigah-e-karam phir us ke ba'ad
umr bhar ka sitam gawara hai
raqs mein hain jo saagar-o-meena
kis ki nazaron ka ye ishaara hai
aisi manzil pe aa gaya hoon jahaan
tire gham ka hi ik sahaara hai
laut aaye hain yaar ke dar se
waqt ne jab hamein pukaara hai
dil na toote to zarra-e-naacheez
keemiya hai jo paara paara hai
jaam-e-rangeen mein un ka aks-e-jamaal
ya shafaq mein koi sitaara hai
naav tukde hui hai toofaan se
ab to murshid ka hi sahaara hai
ishq karna hai maat kha jaana
us mein jeeta hua bhi haara hai
apne darshan pe ik nigah-e-karam
vo gham-e-zindagi ka maara hai
राज़ ये मुझ पे आश्कारा है
इश्क़ शबनम नहीं शरारा है
इक निगाह-ए-करम फिर उस के बा'द
उम्र भर का सितम गवारा है
रक़्स में हैं जो साग़र-ओ-मीना
किस की नज़रों का ये इशारा है
ऐसी मंज़िल पे आ गया हूँ जहाँ
तिरे ग़म का ही इक सहारा है
लौट आए हैं यार के दर से
वक़्त ने जब हमें पुकारा है
दिल न टूटे तो ज़र्रा-ए-नाचीज़
कीमिया है जो पारा पारा है
जाम-ए-रंगीं में उन का अक्स-ए-जमाल
या शफ़क़ में कोई सितारा है
नाव टुकड़े हुई है तूफ़ाँ से
अब तो मुर्शिद का ही सहारा है
इश्क़ करना है मात खा जाना
उस में जीता हुआ भी हारा है
अपने दर्शन पे इक निगाह-ए-करम
वो ग़म-ए-ज़िंदगी का मारा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Darshan Singh
our suggestion based on Darshan Singh
As you were reading Friendship Shayari Shayari