bahut mushkil hai tark-e-aarzoo rabt-aashna ho kar | बहुत मुश्किल है तर्क-ए-आरज़ू रब्त-आश्ना हो कर

  - Darshan Singh

bahut mushkil hai tark-e-aarzoo rabt-aashna ho kar
guzar ja waadi-e-pur-khaar se baad-e-saba ho kar

laga doge tamannaa ke safeene ko kinaare se
ma'az-allah daava-e-khudaai na-khuda ho kar

har ik ho silsila rangeen gunaahon ke silaasil ka
nahin aasaan duniya se guzarna paarsa ho kar

meri pinhaai-e-ilm-o-khabar ki intiha ye hai
ki ik qatre se na-waaqif hoon dariya-aashna ho kar

kahaan taab-e-judaai ab to ye mehsoos hota hai
ki main khud se juda ho jaaunga tum se juda ho kar

tira dar chhod doon lekin tire dar ke siva saaqi
kahaan jaaun kidhar jaaun zamaane se khafa ho kar

jo shikwa un se karna tha vo un ke roo-b-roo darshan
zabaan tak aate aate rah gaya harf-e-dua ho kar

बहुत मुश्किल है तर्क-ए-आरज़ू रब्त-आश्ना हो कर
गुज़र जा वादी-ए-पुर-ख़ार से बाद-ए-सबा हो कर

लगा दोगे तमन्ना के सफ़ीने को किनारे से
मआ'ज़-अल्लाह दावा-ए-ख़ुदाई ना-ख़ुदा हो कर

हर इक हो सिलसिला रंगीं गुनाहों के सलासिल का
नहीं आसान दुनिया से गुज़रना पारसा हो कर

मिरी पिन्हाई-ए-इल्म-ओ-ख़बर की इंतिहा ये है
कि इक क़तरे से ना-वाक़िफ़ हूँ दरिया-आश्ना हो कर

कहाँ ताब-ए-जुदाई अब तो ये महसूस होता है
कि मैं ख़ुद से जुदा हो जाऊँगा तुम से जुदा हो कर

तिरा दर छोड़ दूँ लेकिन तिरे दर के सिवा साक़ी
कहाँ जाऊँ किधर जाऊँ ज़माने से ख़फ़ा हो कर

जो शिकवा उन से करना था वो उन के रू-ब-रू 'दर्शन'
ज़बाँ तक आते आते रह गया हर्फ़-ए-दुआ हो कर

  - Darshan Singh

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari