chashm-e-beena ho to qaid-e-haram-o-toor nahin | चश्म-ए-बीना हो तो क़ैद-ए-हरम-ओ-तूर नहीं

  - Darshan Singh

chashm-e-beena ho to qaid-e-haram-o-toor nahin
dekhne waali nigaahon se vo mastur nahin

kaun sa ghar hai jawaan jalvo se pur-noor nahin
ik mere dil ki hi duniya hai jo ma'amoor nahin

apni himmat hi se pahunchunga sar-e-manzil-e-shauq
luun sahaara main kisi ka mujhe manzoor nahin

gham-e-jaanaan ko bhula doon na karoon dost ko yaad
itna main ai gham-e-dauraan abhi majboor nahin

ye mohabbat ki hai qeemat ye mohabbat ka sila
ki hamaare hi liye ishq ka dastoor nahin

dono aalam ko dubo de jo may-o-meena mein
chashm-e-saaqi ke siva aur ka maqdoor nahin

muskuraa do to mera guncha-dil khil jaaye
dil kabhi khil na sake aisa bhi ranjoor nahin

tum nahin paas magar saath hai yaadon ka hujoom
main akela nahin bekas nahin mahjoor nahin

aaj kuchh shaam se tareek hai dil ki mehfil
tum nahin ho to vo raunaq nahin vo noor nahin

mujh mein himmat hai ki main raaz ko ifsha na karoon
ye mera zarf hai ye sheva-e-mansoor nahin

kar sakega na juda faasla-e-waqt-o-makaan
door nazaron se sahi dil se magar door nahin

meri taqdeer mein darshan hain kisi ke jalwe
shukr sad shukr ki duniya meri be-noor nahin

चश्म-ए-बीना हो तो क़ैद-ए-हरम-ओ-तूर नहीं
देखने वाली निगाहों से वो मस्तूर नहीं

कौन सा घर है जवाँ जल्वों से पुर-नूर नहीं
इक मिरे दिल की ही दुनिया है जो मा'मूर नहीं

अपनी हिम्मत ही से पहुँचूँगा सर-ए-मंज़िल-ए-शौक़
लूँ सहारा मैं किसी का मुझे मंज़ूर नहीं

ग़म-ए-जानाँ को भुला दूँ न करूँ दोस्त को याद
इतना मैं ऐ ग़म-ए-दौराँ अभी मजबूर नहीं

ये मोहब्बत की है क़ीमत ये मोहब्बत का सिला
कि हमारे ही लिए इश्क़ का दस्तूर नहीं

दोनों आलम को डुबो दे जो मय-ओ-मीना में
चश्म-ए-साक़ी के सिवा और का मक़्दूर नहीं

मुस्कुरा दो तो मिरा ग़ुंचा-दिल खिल जाए
दिल कभी खिल न सके ऐसा भी रंजूर नहीं

तुम नहीं पास मगर साथ है यादों का हुजूम
मैं अकेला नहीं बेकस नहीं महजूर नहीं

आज कुछ शाम से तारीक है दिल की महफ़िल
तुम नहीं हो तो वो रौनक़ नहीं वो नूर नहीं

मुझ में हिम्मत है कि मैं राज़ को इफ़्शा न करूँ
ये मिरा ज़र्फ़ है ये शेवा-ए-मंसूर नहीं

कर सकेगा न जुदा फ़ासला-ए-वक़्त-ओ-मकाँ
दूर नज़रों से सही दिल से मगर दूर नहीं

मेरी तक़दीर में 'दर्शन' हैं किसी के जल्वे
शुक्र सद शुक्र कि दुनिया मिरी बे-नूर नहीं

  - Darshan Singh

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari