ye kis ne kah diya aakhir ki chhup-chhupa ke piyo
ye may hai may use auron ko bhi pila ke piyo
gham-e-jahaan ko gham-e-zeest ko bhula ke piyo
haseen geet mohabbat ke gunguna ke piyo
chhute na daman-e-taa'at bhi waqt-e-may-noshi
piyo to sajda-e-ulfat mein sar jhuka ke piyo
bujhe bujhe se hon armaan to kya farogh-e-nashaat
jo so gaye hain sitaare unhen jaga ke piyo
gham-e-hayaat ka darmaan hain ishq ke aansu
andheri raat hai yaaro diye jala ke piyo
naseeb hogi bahr-kaif marzi-e-saaqi
mile jo zahar bhi yaaro to muskuraa ke piyo
mere khuloos pe shaikh-e-haram bhi kah utha
jo pee rahe ho to darshan haram mein aa ke piyo
ये किस ने कह दिया आख़िर कि छुप-छुपा के पियो
ये मय है मय उसे औरों को भी पिला के पियो
ग़म-ए-जहाँ को ग़म-ए-ज़ीस्त को भुला के पियो
हसीन गीत मोहब्बत के गुनगुना के पियो
छुटे न दामन-ए-ताअ'त भी वक़्त-ए-मय-नोशी
पियो तो सज्दा-ए-उल्फ़त में सर झुका के पियो
बुझे बुझे से हों अरमाँ तो क्या फ़रोग़-ए-नशात
जो सो गए हैं सितारे उन्हें जगा के पियो
ग़म-ए-हयात का दरमाँ हैं इश्क़ के आँसू
अँधेरी रात है यारो दिए जला के पियो
नसीब होगी बहर-कैफ़ मर्ज़ी-ए-साक़ी
मिले जो ज़हर भी यारो तो मुस्कुरा के पियो
मिरे ख़ुलूस पे शैख़-ए-हरम भी कह उट्ठा
जो पी रहे हो तो 'दर्शन' हरम में आ के पियो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Darshan Singh
our suggestion based on Darshan Singh
As you were reading Emotional Shayari Shayari