kab khamoshi ko mohabbat ki zabaan samjha tha main | कब ख़मोशी को मोहब्बत की ज़बाँ समझा था मैं

  - Darshan Singh

kab khamoshi ko mohabbat ki zabaan samjha tha main
tha ayaan vo raaz-e-dil jis ko nihaan samjha tha main

sun raha hoon apni khaamoshi ka charcha koo-b-koo
thi fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main

aarzi sa aks tha ik iltifaat-e-dost ka
jis ko nadaani se aish-e-jaavedaan samjha tha main

tum ne aankhen fer leen mujh se to ye mujh par khula
khaar-zaar-e-zindagi ko gulistaan samjha tha main

vo bhi nikle barq-o-baad-o-baaghbaan ki milkayat
chaar tinke jin ko apna aashiyaan samjha tha main

kar saken darshan na vo bhi arz-e-haal-e-aarzoo
jin nigaahon ko mohabbat ki zabaan samjha tha main

कब ख़मोशी को मोहब्बत की ज़बाँ समझा था मैं
था अयाँ वो राज़-ए-दिल जिस को निहाँ समझा था मैं

सुन रहा हूँ अपनी ख़ामोशी का चर्चा कू-ब-कू
थी फ़ुग़ाँ वो भी जिसे ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ समझा था मैं

आरज़ी सा अक्स था इक इल्तिफ़ात-ए-दोस्त का
जिस को नादानी से ऐश-ए-जावेदाँ समझा था मैं

तुम ने आँखें फेर लीं मुझ से तो ये मुझ पर खुला
ख़ार-ज़ार-ए-ज़िंदगी को गुलिस्ताँ समझा था मैं

वो भी निकले बर्क़-ओ-बाद-ओ-बाग़्बाँ की मिलकियत
चार तिनके जिन को अपना आशियाँ समझा था मैं

कर सकें 'दर्शन' न वो भी अर्ज़-ए-हाल-ए-आरज़ू
जिन निगाहों को मोहब्बत की ज़बाँ समझा था मैं

  - Darshan Singh

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari