qaid-e-gham-e-hayaat se ahl-e-jahaan mafar nahin | क़ैद-ए-ग़म-ए-हयात से अहल-ए-जहाँ मफ़र नहीं

  - Darshan Singh

qaid-e-gham-e-hayaat se ahl-e-jahaan mafar nahin
aisi mili hai shaam-e-gham jis ki koi sehar nahin

hai vo safar jo ishq ko jaanib dost le chale
warna safar ke vaaste kaun si raahguzaar nahin

ahl-e-khirad ko chahiye dil ke nagar mein aa basen
dil sa haseen-o-khush-numa aur koi nagar nahin

tere karam pe hai yaqeen garche ye jaanta hoon main
naala hai mera na-rasa aah mein kuchh asar nahin

hasrat-e-intizaar ki baat na ham se poochiye
hai ye taveel dastaan qissa-e-mukhtasar nahin

loot to gaye hain dil magar mil bhi gai hain manzilen
rahguzar-e-hayaat mein ishq sa raahbar nahin

apna raha na hosh jab raaz-e-hayaat pa liya
ne'emat-e-be-khudi samajh hosh ka ye samar nahin

ishq mata-e-la-makaan ishq mata-e-jaavedaan
shola-e-daaemi hai ye manzar-e-yak-sharar nahin

darshan-e-mast se milen kholega raaz-e-aagahi
garche wahan hai jis jagah apni use khabar nahin

क़ैद-ए-ग़म-ए-हयात से अहल-ए-जहाँ मफ़र नहीं
ऐसी मिली है शाम-ए-ग़म जिस की कोई सहर नहीं

है वो सफ़र जो इश्क़ को जानिब दोस्त ले चले
वर्ना सफ़र के वास्ते कौन सी रहगुज़र नहीं

अहल-ए-ख़िरद को चाहिए दिल के नगर में आ बसें
दिल सा हसीन-ओ-ख़ुश-नुमा और कोई नगर नहीं

तेरे करम पे है यक़ीं गरचे ये जानता हूँ मैं
नाला है मेरा ना-रसा आह में कुछ असर नहीं

हसरत-ए-इंतिज़ार की बात न हम से पूछिए
है ये तवील दास्ताँ क़िस्सा-ए-मुख़्तसर नहीं

लुट तो गए हैं दिल मगर मिल भी गई हैं मंज़िलें
रहगुज़र-ए-हयात में इश्क़ सा राहबर नहीं

अपना रहा न होश जब राज़-ए-हयात पा लिया
नेअमत-ए-बे-खु़दी समझ होश का ये समर नहीं

इश्क़ मता-ए-ला-मकाँ इश्क़ मता-ए-जावेदाँ
शो'ला-ए-दाएमी है ये मंज़र-ए-यक-शरर नहीं

'दर्शन'-ए-मस्त से मिलें खोलेगा राज़-ए-आगही
गरचे वहाँ है जिस जगह अपनी उसे ख़बर नहीं

  - Darshan Singh

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari