mohabbat ki mata-e-jaavedaani le ke aaya hoon | मोहब्बत की मता-ए-जावेदानी ले के आया हूँ

  - Darshan Singh

mohabbat ki mata-e-jaavedaani le ke aaya hoon
tire qadmon mein apni zindagaani le ke aaya hoon

kahaan seem-o-guhar jin ko lutaauun tere qadmon par
bara-e-nazr ashkon ki rawaani le ke aaya hoon

tujhe jo poochna ho pooch le ai daavar-e-mahshar
main apne saath apni be-zabaani le ke aaya hoon

zameen-o-mulk ke badle dilon par hai nazar meri
achhoota ik tareeq-e-hukmraani le ke aaya hoon

mere zakhm-e-tamanna dekh kar pehchaan lo mujh ko
tumhaari hi ata-karda nishaani le ke aaya hoon

mere ashaar mein muzmar hain laakhon dhadkanein dil ki
main ik duniya ka gham dil ki zabaani le ke aaya hoon

mohabbat naam hai betaabi-e-dil ke tasalsul ka
mohabbat ki main darshan ye nishaani le ke aaya hoon

मोहब्बत की मता-ए-जावेदानी ले के आया हूँ
तिरे क़दमों में अपनी ज़िंदगानी ले के आया हूँ

कहाँ सीम-ओ-गुहर जिन को लुटाऊँ तेरे क़दमों पर
बरा-ए-नज़्र अश्कों की रवानी ले के आया हूँ

तुझे जो पूछना हो पूछ ले ऐ दावर-ए-महशर
मैं अपने साथ अपनी बे-ज़बानी ले के आया हूँ

ज़मीन-ओ-मुल्क के बदले दिलों पर है नज़र मेरी
अछूता इक तरीक़-ए-हुक्मरानी ले के आया हूँ

मिरे ज़ख़्म-ए-तमन्ना देख कर पहचान लो मुझ को
तुम्हारी ही अता-कर्दा निशानी ले के आया हूँ

मिरे अशआ'र में मुज़्मर हैं लाखों धड़कनें दिल की
मैं इक दुनिया का ग़म दिल की ज़बानी ले के आया हूँ

मोहब्बत नाम है बेताबी-ए-दिल के तसलसुल का
मोहब्बत की मैं 'दर्शन' ये निशानी ले के आया हूँ

  - Darshan Singh

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari