vo saleeqa hamein jeene ka sikha de saaqi | वो सलीक़ा हमें जीने का सिखा दे साक़ी

  - Darshan Singh

vo saleeqa hamein jeene ka sikha de saaqi
jo gham-e-dehr se begaana bana de saaqi

jaam-o-meena meri nazaron se hata de saaqi
ye jo aankhon mein chhalkati hai pila de saaqi

sho'la-e-ishq se chhalaka de mere sheeshe ko
aur betaab ko betaab bana de saaqi

haram-o-dair mein bat jaate hain rindaan-e-wafa
haram-o-dair ki tafriq mita de saaqi

sun raha hoon ki mayassar hi nahin duniya mein
ik nigaah raaz-e-do-aalam jo bata de saaqi

khushk hai mausam-e-ehsaas fazaa pyaasi hai
khum ke khum seena-e-geti pe lundha de saaqi

phir kabhi hosh na aaye to koi baat nahin
aaj ham jitni piyein utni pila de saaqi

josh-e-masti mein bagal-geer hoon bichhde hue dil
aaj insaan ko insaan bana de saaqi

zindagi khwaab-e-musalsal ke siva kuchh na sahi
us ki ta'beer to darshan ko bata de saaqi

वो सलीक़ा हमें जीने का सिखा दे साक़ी
जो ग़म-ए-दहर से बेगाना बना दे साक़ी

जाम-ओ-मीना मिरी नज़रों से हटा दे साक़ी
ये जो आँखों में छलकती है पिला दे साक़ी

शो'ला-ए-इश्क़ से छलका दे मिरे शीशे को
और बेताब को बेताब बना दे साक़ी

हरम-ओ-दैर में बट जाते हैं रिन्दान-ए-वफ़ा
हरम-ओ-दैर की तफ़रीक़ मिटा दे साक़ी

सुन रहा हूँ कि मयस्सर ही नहीं दुनिया में
इक निगह राज़-ए-दो-आलम जो बता दे साक़ी

ख़ुश्क है मौसम-ए-एहसास फ़ज़ा प्यासी है
ख़ुम के ख़ुम सीना-ए-गेती पे लुंढा दे साक़ी

फिर कभी होश न आए तो कोई बात नहीं
आज हम जितनी पिएँ उतनी पिला दे साक़ी

जोश-ए-मस्ती में बग़ल-गीर हूँ बिछड़े हुए दिल
आज इंसान को इंसान बना दे साक़ी

ज़िंदगी ख़्वाब-ए-मुसलसल के सिवा कुछ न सही
उस की ता'बीर तो 'दर्शन' को बता दे साक़ी

  - Darshan Singh

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari