tujhe kya khabar mere hum-safar mera marhala koi aur hai | तुझे क्या ख़बर मिरे हम-सफ़र मिरा मरहला कोई और है

  - Darshan Singh

tujhe kya khabar mere hum-safar mera marhala koi aur hai
mujhe manzilon se gurez hai mera raasta koi aur hai

meri chaahaton ko na poochiye jo mila talab se siva mila
meri dastaan hi ajeeb hai mera mas'ala koi aur hai

ye havas ke bande hain naaseha na samajh sake mera muddaa
mujhe pyaar hai kisi aur se mera dil-ruba koi aur hai

mera zauq-e-sajda hai zaahiri ki hai kashmakash meri zindagi
ye gumaan dil mein raha sada mera muddaa koi aur hai

vo raheem hai vo kareem hai vo nahin ki zulm kare sada
hai yaqeen zamaane ko dekh kar ki yahan khuda koi aur hai

main chala kahaan se khabar nahin ki safar mein hai meri zindagi
meri ibtida kahi aur hai meri intiha koi aur hai

mera naam darshan-e-khasta-tan mere dil mein koi hai zau-fagan
main hoon gum kisi ki talash mein mujhe dhoondhta koi aur hai

तुझे क्या ख़बर मिरे हम-सफ़र मिरा मरहला कोई और है
मुझे मंज़िलों से गुरेज़ है मेरा रास्ता कोई और है

मेरी चाहतों को न पूछिए जो मिला तलब से सिवा मिला
मिरी दास्ताँ ही अजीब है मिरा मसअला कोई और है

ये हवस के बंदे हैं नासेहा न समझ सके मिरा मुद्दआ'
मुझे प्यार है किसी और से मिरा दिल-रुबा कोई और है

मिरा ज़ौक़-ए-सज्दा है ज़ाहिरी कि है कश्मकश मिरी ज़िंदगी
ये गुमान दिल में रहा सदा मिरा मुद्दआ' कोई और है

वो रहीम है वो करीम है वो नहीं कि ज़ुल्म करे सदा
है यक़ीं ज़माने को देख कर कि यहाँ ख़ुदा कोई और है

मैं चला कहाँ से ख़बर नहीं कि सफ़र में है मिरी ज़िंदगी
मिरी इब्तिदा कहीं और है मिरी इंतिहा कोई और है

मिरा नाम 'दर्शन'-ए-ख़स्ता-तन मिरे दिल में कोई है ज़ौ-फ़गन
मैं हूँ गुम किसी की तलाश में मुझे ढूँढता कोई और है

  - Darshan Singh

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Darshan Singh

As you were reading Shayari by Darshan Singh

Similar Writers

our suggestion based on Darshan Singh

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari