zamaane mein kisi se ab wafaayein kaun karta hai | ज़माने में किसी से अब वफ़ाएँ कौन करता है - Devesh Dixit

zamaane mein kisi se ab wafaayein kaun karta hai
yahan sab zakham dete hain dawaayein kaun karta hai

gila-shikwa nahin koi magar sab kuch samajhta hoon
bujhaane ko diye mere hawaaein kaun karta hai

luta ho kaarwaan jis ka ujaalon ke ishaaron se
andheri raat chalne ki khataayein kaun karta hai

yahan insaan ki chhodo parinde bhi samjhte hain
mohabbat kaun karta hai jafaaen kaun karta hai

kisi se bhool kar apna kabhi mat dard-e-dil kehna
yahan maa ke alaava ab duaaein kaun karta hai

ज़माने में किसी से अब वफ़ाएँ कौन करता है
यहाँ सब ज़ख़्म देते हैं दवाएँ कौन करता है

गिला-शिकवा नहीं कोई मगर सब कुछ समझता हूँ
बुझाने को दिए मेरे हवाएँ कौन करता है

लुटा हो कारवाँ जिस का उजालों के इशारों से
अँधेरी रात चलने की ख़ताएँ कौन करता है

यहाँ इंसान की छोड़ो परिंदे भी समझते हैं
मोहब्बत कौन करता है जफ़ाएँ कौन करता है

किसी से भूल कर अपना कभी मत दर्द-ए-दिल कहना
यहाँ माँ के अलावा अब दुआएँ कौन करता है

- Devesh Dixit
1 Like

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Devesh Dixit

As you were reading Shayari by Devesh Dixit

Similar Writers

our suggestion based on Devesh Dixit

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari