dard dil mein muqeem kis ka hai
kaam ye hai azeem kis ka hai
deen-o-mazhab baja sahi lekin
rone waala yateem kis ka hai
khoon-e-deewaar ki kitaabon par
husn-e-naqsh-e-qadeem kis ka hai
faisla ho chuka mareezon ka
muntazir ab hakeem kis ka hai
baant do gar hawa to ham samjhen
raam kis ka raheem kis ka hai
दर्द दिल में मुक़ीम किस का है
काम ये है अज़ीम किस का है
दीन-ओ-मज़हब बजा सही लेकिन
रोने वाला यतीम किस का है
ख़ून-ए-दीवार की किताबों पर
हुस्न-ए-नक़्श-ए-क़दीम किस का है
फ़ैसला हो चुका मरीज़ों का
मुंतज़िर अब हकीम किस का है
बाँट दो गर हवा तो हम समझें
राम किस का रहीम किस का है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Jafri
our suggestion based on Ehsan Jafri
As you were reading Hawa Shayari Shayari