zindagi to qaid hai aur pardaa-e-mahfil mein hai | ज़िंदगी तो क़ैद है और पर्दा-ए-महफ़िल में है

  - Ehsan Jafri

zindagi to qaid hai aur pardaa-e-mahfil mein hai
aarzoo husn-e-zameen ki gosha-e-ghaafil mein hai

dhoondhta hai tu jise vo justuju meri bhi hai
maqsad-e-ahl-e-nazar to ek hi manzil mein hai

bandish-e-kaun-o-makaan parvaaz mein haa'il nahin
haasil-e-jihad-o-amal to jazba-e-kaamil mein hai

zulm ki tareekiyo ko jumbish-e-lab sail-e-noor
bol ki hai waqt tera jo bhi tere dil mein hai

jaan-fishaani os ki aur mitti ki talab
kya bujhegi pyaas lekin kuchh nami to dil mein hai

ज़िंदगी तो क़ैद है और पर्दा-ए-महफ़िल में है
आरज़ू हुस्न-ए-ज़मीं की गोशा-ए-ग़ाफ़िल में है

ढूँढता है तू जिसे वो जुस्तुजू मेरी भी है
मक़्सद-ए-अहल-ए-नज़र तो एक ही मंज़िल में है

बंदिश-ए-कौन-ओ-मकाँ परवाज़ में हाइल नहीं
हासिल-ए-जहद-ओ-अमल तो जज़्बा-ए-कामिल में है

ज़ुल्म की तारीकियों को जुम्बिश-ए-लब सैल-ए-नूर
बोल कि है वक़्त तेरा जो भी तेरे दिल में है

जाँ-फ़िशानी ओस की और मिट्टी की तलब
क्या बुझेगी प्यास लेकिन कुछ नमी तो दिल में है

  - Ehsan Jafri

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Jafri

As you were reading Shayari by Ehsan Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Jafri

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari