tum achhe maseeha ho dava kyun nahin dete | तुम अच्छे मसीहा हो दवा क्यूँ नहीं देते

  - Ehsan Jafri

tum achhe maseeha ho dava kyun nahin dete
be-noor jo hai sham'a bujha kyun nahin dete

be-naam hoon be-nang hoon zaahir to hai tum par
gar rabt nahin dil se bhula kyun nahin dete

khushboo ki tarah phool ki uththoonga chaman se
to phool ko zulfon se gira kyun nahin dete

pahunchunga kashaaksh mein jahaan tum ne bulaaya
tum hashr ke maidaan se sada kyun nahin dete

mehfil mein agar raunaq-e-mehfil hai koi aur
ye baat bhi mehfil ko bata kyun nahin dete

ik boond si larzaan hai sar-e-chashm-e-tamanna
naayaab nahin aab gira kyun nahin dete

naa-karda gunaahon ki saza maut mili hai
phir karda-gunaahon ki saza kyun nahin dete

zakhamon ko mere dil pe agar dekh liya hai
daaman se wafaon ki hawa kyun nahin dete

dekha tha kabhi ham ne mohabbat ka janaaza
baaki hai agar kuchh to dikha kyun nahin dete

har lamha hamaara hi fasana hai zabaan par
ham kuchh bhi nahin hain to bhala kyun nahin dete

kar lenge har ik manzil-e-dushwaar ko sar ham
ik jaam mohabbat ka pila kyun nahin dete

तुम अच्छे मसीहा हो दवा क्यूँ नहीं देते
बे-नूर जो है शम्अ' बुझा क्यूँ नहीं देते

बे-नाम हूँ बे-नंग हूँ ज़ाहिर तो है तुम पर
गर रब्त नहीं दिल से भुला क्यूँ नहीं देते

ख़ुशबू की तरह फूल की उठ्ठूँगा चमन से
तो फूल को ज़ुल्फ़ों से गिरा क्यूँ नहीं देते

पहुँचूँगा कशाकश में जहाँ तुम ने बुलाया
तुम हश्र के मैदाँ से सदा क्यूँ नहीं देते

महफ़िल में अगर रौनक़-ए-महफ़िल है कोई और
ये बात भी महफ़िल को बता क्यूँ नहीं देते

इक बूँद सी लर्ज़ां है सर-ए-चश्म-ए-तमन्ना
नायाब नहीं आब गिरा क्यूँ नहीं देते

ना-कर्दा गुनाहों की सज़ा मौत मिली है
फिर कर्दा-गुनाहों की सज़ा क्यूँ नहीं देते

ज़ख़्मों को मिरे दिल पे अगर देख लिया है
दामन से वफ़ाओं की हवा क्यूँ नहीं देते

देखा था कभी हम ने मोहब्बत का जनाज़ा
बाक़ी है अगर कुछ तो दिखा क्यूँ नहीं देते

हर लम्हा हमारा ही फ़साना है ज़बाँ पर
हम कुछ भी नहीं हैं तो भला क्यूँ नहीं देते

कर लेंगे हर इक मंज़िल-ए-दुश्वार को सर हम
इक जाम मोहब्बत का पिला क्यूँ नहीं देते

  - Ehsan Jafri

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Jafri

As you were reading Shayari by Ehsan Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Jafri

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari