apnon ne ujaada hai chaman jaan gaye hain | अपनों ने उजाड़ा है चमन जान गए हैं

  - Ehsan Jafri

apnon ne ujaada hai chaman jaan gaye hain
pardo mein chhupa kaun hai pehchaan gaye hain

taptee hui sadkon pe safar ham ne kiya hai
ab barf jo dekhi hai to ausaan gaye hain

vishwas ki girti hui deewaar ke saaye
qadmon se kuchalte hue eimaan gaye hain

maana ki diya us ne hamein rutba-e-aali
jannat se nikale bhi to insaan gaye hain

ghar apna samajh kar jo rahe farsh-e-zameen par
rote hue duniya se vo mehmaan gaye hain

jo phool ki khushboo ko chhupaane mein lage the
naakaam mohabbat mein vo insaan gaye hain

un se to na thi koi hamein bugz-o-adaavat
be-kaar si baaton ko bura maan gaye hain

अपनों ने उजाड़ा है चमन जान गए हैं
पर्दों में छुपा कौन है पहचान गए हैं

तपती हुई सड़कों पे सफ़र हम ने किया है
अब बर्फ़ जो देखी है तो औसान गए हैं

विश्वास की गिरती हुई दीवार के साए
क़दमों से कुचलते हुए ईमान गए हैं

माना कि दिया उस ने हमें रुतबा-ए-आली
जन्नत से निकाले भी तो इंसान गए हैं

घर अपना समझ कर जो रहे फ़र्श-ए-ज़मीं पर
रोते हुए दुनिया से वो मेहमान गए हैं

जो फूल की ख़ुशबू को छुपाने में लगे थे
नाकाम मोहब्बत में वो इंसान गए हैं

उन से तो न थी कोई हमें बुग़्ज़-ओ-अदावत
बे-कार सी बातों को बुरा मान गए हैं

  - Ehsan Jafri

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Jafri

As you were reading Shayari by Ehsan Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Jafri

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari