ab chaai thandi nahin hogi | अब चाय ठंडी नहीं होगी

  - Ehtisham Akhtar

ab chaai thandi nahin hogi
daadhi ab nahin badhegi
ab qamees ke button nahin tootenge
taghaaful kisi ka ab nahin sataayega
ab kisi ke intizaar ka gham nahin rulaayega
thakan ab pairo'n se nahin uljhegi
faasle ab darmiyaan nahin aayenge
dil mein ab koi khalish nahin hogi
ab der tak neend aayegi
office jaane ke liye
mujhe ab biwi jagaaegi

अब चाय ठंडी नहीं होगी
दाढ़ी अब नहीं बढ़ेगी
अब क़मीस के बटन नहीं टूटेंगे
तग़ाफ़ुल किसी का अब नहीं सताएगा
अब किसी के इंतिज़ार का ग़म नहीं रुलाएगा
थकन अब पैरों से नहीं उलझेगी
फ़ासले अब दरमियाँ नहीं आएँगे
दिल में अब कोई ख़लिश नहीं होगी
अब देर तक नींद आएगी
ऑफ़िस जाने के लिए
मुझे अब बीवी जगाएगी

  - Ehtisham Akhtar

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Akhtar

As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Akhtar

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari