thehre paani mein nihaan ek haseen khwaab bhi hai | ठहरे पानी में निहाँ एक हसीं ख़्वाब भी है

  - Ehtisham Akhtar

thehre paani mein nihaan ek haseen khwaab bhi hai
aas ki jheel mein aks-e-rukh-e-mehtaab bhi hai

dast-e-tanhaai ke tapte hue veeraane mein
teri yaadon ka hai ik ped jo shaadaab bhi hai

paar karna bada mushkil hai ki ye bahr-e-hawas
kahi gahra hai bahut aur kahi paayaab bhi hai

is ki tasveer mein aankhon mein basa luun ki ye shay
laakh arzaan sahi mere liye naayaab bhi hai

yun to lagta hai samundar bada khaamosh magar
us ke seene mein nihaan karb ka sailaab bhi hai

ye tamannaon ki sookhi hui nadi akhtar
apni aankhon mein sajaaye hue ik khwaab bhi hai

ठहरे पानी में निहाँ एक हसीं ख़्वाब भी है
आस की झील में अक्स-ए-रुख़-ए-महताब भी है

दश्त-ए-तन्हाई के तपते हुए वीराने में
तेरी यादों का है इक पेड़ जो शादाब भी है

पार करना बड़ा मुश्किल है कि ये बहर-ए-हवस
कहीं गहरा है बहुत और कहीं पायाब भी है

इस की तस्वीर में आँखों में बसा लूँ कि ये शय
लाख अर्ज़ां सही मेरे लिए नायाब भी है

यूँ तो लगता है समुंदर बड़ा ख़ामोश मगर
उस के सीने में निहाँ कर्ब का सैलाब भी है

ये तमन्नाओं की सूखी हुई नदी 'अख़्तर'
अपनी आँखों में सजाए हुए इक ख़्वाब भी है

  - Ehtisham Akhtar

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Akhtar

As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Akhtar

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari