sata rahi hai bahut machliyon ki baas mujhe
bula raha hai samundar phir apne paas mujhe
havas ka sheesha-e-naazuk hoon phoot jaaunga
na maar kheench ke is tarah sang-e-yaas mujhe
main qaid mein kabhi deewar-o-dar ki rah na saka
na aa saka kabhi shehron ka rang raas mujhe
main tere jism ke dariya ko pee chuka hoon bahut
sata rahi hai phir ab kyun badan ki pyaas mujhe
mere badan mein chhupa hai samundron ka fusoon
jala sakegi bhala kya ye khushk ghaas mujhe
girega toot ke sar par ye aasmaan kabhi
daraaye rakhta hai har dam mera qayaas mujhe
jhuls raha hoon main sadiyon se gham ke sehra mein
magar hai abr-e-gurezaan ki phir bhi aas mujhe
सता रही है बहुत मछलियों की बास मुझे
बुला रहा है समुंदर फिर अपने पास मुझे
हवस का शीशा-ए-नाज़ुक हूँ फूट जाऊँगा
न मार खींच के इस तरह संग-ए-यास मुझे
मैं क़ैद में कभी दीवार-ओ-दर की रह न सका
न आ सका कभी शहरों का रंग रास मुझे
मैं तेरे जिस्म के दरिया को पी चुका हूँ बहुत
सता रही है फिर अब क्यूँ बदन की प्यास मुझे
मिरे बदन में छुपा है समुंदरों का फ़ुसूँ
जला सकेगी भला क्या ये ख़ुश्क घास मुझे
गिरेगा टूट के सर पर ये आसमान कभी
डराए रखता है हर दम मिरा क़यास मुझे
झुलस रहा हूँ मैं सदियों से ग़म के सहरा में
मगर है अब्र-ए-गुरेज़ाँ की फिर भी आस मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Nadii Shayari Shayari