meri hayaat ko be-rabt baab rahne de
varq varq yun hi gham ki kitaab rahne de
main raahgeeron ki himmat bandhaane waala hoon
mere vujood mein shaamil sharaab rahne de
tabaah khud ko main kar luun badan ko choo ke tire
tu apne lams ka mujh par azaab rahne de
zara thehar ki abhi khoon mein samaai nahin
mere qareeb badan ki sharaab rahne de
bhula chuka hoon main sab kuchh dila na yaad mujhe
jo kho chuka hoon ab us ka hisaab rahne de
jala liya hai badan apni aag mein main ne
bujha na is ko abhi ye azaab rahne de
मिरी हयात को बे-रब्त बाब रहने दे
वरक़ वरक़ यूँ ही ग़म की किताब रहने दे
मैं राहगीरों की हिम्मत बँधाने वाला हूँ
मिरे वजूद में शामिल शराब रहने दे
तबाह ख़ुद को मैं कर लूँ बदन को छू के तिरे
तू अपने लम्स का मुझ पर अज़ाब रहने दे
ज़रा ठहर कि अभी ख़ून में समाई नहीं
मिरे क़रीब बदन की शराब रहने दे
भुला चुका हूँ मैं सब कुछ दिला न याद मुझे
जो खो चुका हूँ अब उस का हिसाब रहने दे
जला लिया है बदन अपनी आग में मैं ने
बुझा न इस को अभी ये अज़ाब रहने दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Sharaab Shayari Shayari