charaagh dil ka tha raushan bujha gaya paani
ki ban ke sail-e-bala ghar mein aa gaya paani
khuloos pyaar wafa sab usi ke saath gaye
mohabbaton ke nishaan sab mita gaya paani
chadha hua tha jo dariya utar gaya lekin
hamaari unchi imarat dhaa gaya paani
bujhegi pyaas bhala kya zameen ki ashkon se
hamaari aankh mein kyun aaj aa gaya paani
hui jo baarish-e-gham to badal gaye manzar
zara si der mein kya kya dikha gaya paani
dubo hi dega tumhein ab nadi ka ye sailaab
kahaan bachoge ki ab ghar mein aa gaya paani
main ab ye shehar-e-hawas chhod kar kahaan jaaun
mujhe to raas yahan ka ab aa gaya paani
चराग़ दिल का था रौशन बुझा गया पानी
कि बन के सैल-ए-बला घर में आ गया पानी
ख़ुलूस प्यार वफ़ा सब उसी के साथ गए
मोहब्बतों के निशाँ सब मिटा गया पानी
चढ़ा हुआ था जो दरिया उतर गया लेकिन
हमारी ऊँची इमारत ढहा गया पानी
बुझेगी प्यास भला क्या ज़मीं की अश्कों से
हमारी आँख में क्यूँ आज आ गया पानी
हुई जो बारिश-ए-ग़म तो बदल गए मंज़र
ज़रा सी देर में क्या क्या दिखा गया पानी
डुबो ही देगा तुम्हें अब नदी का ये सैलाब
कहाँ बचोगे कि अब घर में आ गया पानी
मैं अब ये शहर-ए-हवस छोड़ कर कहाँ जाऊँ
मुझे तो रास यहाँ का अब आ गया पानी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Nigaah Shayari Shayari