hazaaron saal se main jis ke intizaar mein tha
vo aks-e-khwaab to mere hi ikhtiyaar mein tha
vo meri zaat ke partav se mahtaab hua
vagarna kurra-e-be-noor kis shumaar mein tha
koi lagao na tha ab hare shajar se mujhe
main barg-e-khushk tha udte hue ghubaar mein tha
safar mein yoonhi jhulsata raha khabar na hui
ki thande paani ka chashma bhi rahguzar mein tha
main bad-gumaan na kabhi us se ho saka akhtar
ajab tarah ka maza us ke jhoote pyaar mein tha
हज़ारों साल से मैं जिस के इंतिज़ार में था
वो अक्स-ए-ख़्वाब तो मेरे ही इख़्तियार में था
वो मेरी ज़ात के परतव से माहताब हुआ
वगर्ना कुर्रा-ए-बे-नूर किस शुमार में था
कोई लगाओ न था अब हरे शजर से मुझे
मैं बर्ग-ए-ख़ुश्क था उड़ते हुए ग़ुबार में था
सफ़र में यूँही झुलसता रहा ख़बर न हुई
कि ठंडे पानी का चश्मा भी रहगुज़ार में था
मैं बद-गुमाँ न कभी उस से हो सका 'अख़्तर'
अजब तरह का मज़ा उस के झूटे प्यार में था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Akhtar
our suggestion based on Ehtisham Akhtar
As you were reading Musafir Shayari Shayari